Pages

Friday, January 14, 2011

Main aur mera zehan...

Bas yuhin gar rah chalte 
main mila khud se kahin
to baith kar aaram se 
baatein karoonga khud se hi


phir sunaoonga khud hi ko
wakye sab ranj ke
aur khud hi se main phir sunoonga 
apne dil ki ankahee 


wo dikhayega mujhe 
beete samay ke kuch nishan
aur main bataoonga use
tha wo sahi, ya main sahi


karte hue athkheliyan
beete hue har pal se hum
aage badhenge baat par
phir dhoondne baatein nayin


kahdhe se kahdhe ko mila
phir saath main mera zehan
badhte rahenge rhah par 
chalta rahoonga main yuhin


phir saanjh ho jayegi jab
phirte hue jab besabab
phir woh kahega humse ye
ke phir miloge humse kab


hum kahenge usse ye 
Iss baat ko fir taal ke
milkar humein accha laga
milte rahenge hum yuhin


saath hum phirse chalenge
bhool kar har baat ko
bus raaste honge juda 
ek raah ho mumkin nahi...


A_k



3 comments: